Search This Blog

Tuesday, March 30, 2010

MA ! MA TAB TUMAHARI BAHUT YAD AATI HAI

Sardion ke masum main adikhtar neend achanak khul jayati hai;
har din pal bhar main ye baham tod jayati hai;
ki kisi ki ungayaliyan mare balon ko sahalati hai
malum padhta hai jab subah ki mand pawan is tarah laharati hai
ma ma tab tumahari bahut yad aati hai


collage se nikalte hi dekhta hoon ki school ki ghanti par;
sare bache ek hi disa main daude chale jate hai;
jahan unke intazar main koi khada hai;
jinki ungli pakadkar way aasswast ho jate hain 
un istrion ke watsayal par lalayat hote hote 
jab nazar apni sooni hatali par jati hai;
ma ma tab tumahari bahut yad aati hai;


door rahne ki to aadat si hi gayi hai 
bahari khana to jeevan sayali ho gay hai;
sawad jeebh ko aata nahi hai , dhayan cheej par jata nahi hai;
rasheen pakwano se kaya mali si ho gai hai;
parantu jab koi local ki ladki apne ghar ka khana 
jab mujhe chada chada kar khati hai
ma! ma tab tumahari bahut yad aati hai




hazaro mareejon ko dekhta hoon hospital main
cheekhte chillate dard   dard se chapatate 
parantu kisi child specilist ke injection ke dar se 
koi balika uchalkar jab apni ma ki god main chali jati hai 
ma! matab tumahari bahut yad aati hai;


din bhar ki thakawat ke bad sham main doston se milkar ;
rahat kafi mil jati , parantu bat jab sone ki aati hai ;
to har raat hostal ke kadhe sirhane par ;
jab dair tak neend nahi aati hai;
ma ! ma tab tumahari bahut yad aati hai ..........................................................................

No comments:

Post a Comment