Sardion ke masum main adikhtar neend achanak khul jayati hai;
har din pal bhar main ye baham tod jayati hai;
ki kisi ki ungayaliyan mare balon ko sahalati hai
malum padhta hai jab subah ki mand pawan is tarah laharati hai
ma ma tab tumahari bahut yad aati hai
collage se nikalte hi dekhta hoon ki school ki ghanti par;
sare bache ek hi disa main daude chale jate hai;
jahan unke intazar main koi khada hai;
jinki ungli pakadkar way aasswast ho jate hain
un istrion ke watsayal par lalayat hote hote
jab nazar apni sooni hatali par jati hai;
ma ma tab tumahari bahut yad aati hai;
door rahne ki to aadat si hi gayi hai
bahari khana to jeevan sayali ho gay hai;
sawad jeebh ko aata nahi hai , dhayan cheej par jata nahi hai;
rasheen pakwano se kaya mali si ho gai hai;
parantu jab koi local ki ladki apne ghar ka khana
jab mujhe chada chada kar khati hai
ma! ma tab tumahari bahut yad aati hai
hazaro mareejon ko dekhta hoon hospital main
cheekhte chillate dard dard se chapatate
parantu kisi child specilist ke injection ke dar se
koi balika uchalkar jab apni ma ki god main chali jati hai
ma! matab tumahari bahut yad aati hai;
din bhar ki thakawat ke bad sham main doston se milkar ;
rahat kafi mil jati , parantu bat jab sone ki aati hai ;
to har raat hostal ke kadhe sirhane par ;
jab dair tak neend nahi aati hai;
ma ! ma tab tumahari bahut yad aati hai ..........................................................................
Tuesday, March 30, 2010
sayari
sama ko sama ki baharon ne loota;
kasti ko sahil ke kinaron ne loota;
aap to ek hi kasam se der gaye;
hame to aapki kasam de kar hazaron ne loota;
kasti ko sahil ke kinaron ne loota;
aap to ek hi kasam se der gaye;
hame to aapki kasam de kar hazaron ne loota;
sayari of the day
khata to jab ho ki hum hale dil kisi se kahein ;
kisi ko chate rahana koi khata to nahi................
Subscribe to:
Posts (Atom)