Search This Blog

Monday, April 5, 2010

ye zindgi mujhe door le chal is jahaan se
mujhe is jahaa me koi apna sa nahi lagta
log to bahut mil jaate hai har mod par
par ye do pal ka saath kya sapna sa nahi lagta
is zindgi ne yu to dhero gum diye mujhe bhi
kya ye gumo ka sagar bhi abhi kaafi nahi lagta
is bheed bhari duniya me koi kisika saath nahi deta
andhere me to saaya bhi juda insaan se hai lagta
me kise sunau apni dastaan kise sunau apna gum
jo samjhe mera gum aisa sakhs bhi to nahi dikhta
badhe ja rahe hai kadam na jaane kis aur
ab to sareer ka ek-ek katra bhi dagabaaz sa hai lagta

No comments:

Post a Comment